Dua Poetry
Janti thi ke mujhe mout sukoon bakshegi _ _ _
Zaid wo sitam gar tha , so jine ki dua di usne
Phele ek lamhe ki zangeer se bandha mujhko
Zaid phir waqt ki raftar barhadi usne
Main jo mehka to meri shak jaladi usne
Zaid sabz mosam main mujhe sard hawa di usne
Is eid par bohut socha
Kon sa tohfa tumhari nazar karoun
Kuch soch ke hath buland kie
Bohut si dua'oun ke phool
Zaid tumhari nazar kie _ _ _!!!
Bus ek aakhri khuwahish he tum se
Ek sham mere nam ki sajao to sahi
Apni weraan zindagi main hamain bulao to sahi
Zaid is bar mari mohabbat to aazmao to sah
Wo kuch sunta to me kehta,mujhe kuch aur kehna tha
Wo pal bhar ko jo ruk jata mujhe aur kehna tha
Ghalat fehmi ne batoun ko barha dala younhi warna zaid
Kha kuch tha wo kuch samjha , mujhe kuch aur kehna tha
Mene sikha he apne bacho se
Sach ka izhar bar-mala karna
Chahe aulad kitne hi dukh de
Zaid maa ka he kam bus dua karna
Meri zindagi mari khushi meri chahat he meri maa
Meri mohabbat mera ishq meri dewangi he meri maa
Mere dukho main hoti hain jis ki aankein aashbar
Meri zindagi ka hasil he meri maa
Meri khushyoun ki mere dukh sukh ki sathi
Wo piyari si hasti he meri maa
Meri kamyabioun meri manziloun ki talab
Har pal duain mangti he zaid jo mere waste meri maa
Tere aagosh main jannat aur jahan dono ka sukoon tha
Is pathar pe sar rakh ke mujh se soya nahi jata maa
No comments:
Post a Comment